• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Qayamat Hai Jawani Ek Qayamat Hai Shabab

Ek Qayamat Hai Jawani Ek Qayamat Hai Shabab

poet

ik qayamat hai javani ik qayamat hai shabab

har tabassum ek tufan har nazar ik inqalab

har taraf ek ah-o-zari har taraf ek iztirab

kitni saughaten liye aaya hai daur-e-inqilab

saghar-o-mina paTak de toḌ de chang-o-rubab

dekh sar par aa chuka hai aftab-e-inqalab

ishq ke dastur duniya se alag dastur hain

is ki gumnami men shohrat is ki ḳhamoshi javab

ai miri nazron ki jannat kya tujhe ma.alum hai

kis ke sadqe ho rahe hain aftab-o-mahtab

main to kahta huun ḳhuda ka shukr karna chahiye

jaan de kar bhi jo ho jaa.e mohabbat kamyab

ai dil-e-gham-ashna ab to vo ham se chhuT ga.e

aur kya is se ziyada hoga koi inqalab

un se baten kar raha huun vo khaḌe hain samne

jagta rahta huun lekin dekhta rahta huun ḳhvab

bandishen donon taraf pabandiyan donon taraf

ek paband-e-mohabbat ek paband-e-hijab

mujh ko ai ‘sharib’ fishar-e-qabr ka kya ḳhauf ho

main ghulam-e-shah-e-yasrib main ghulam-e-bu-turab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

indira-varma

dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega

Jab Chaha Iqrar Kiya Hai Jab Chaha Inkar Kiya

Na Puchho Kaise Himmat Kar Rahe Hain

ain-tabish

Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain

abdul-hamid-adam

Ai Kharabaat Ke Khudawando

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet