ajab khun-chakan karbala ka saman tha
the sab tishna-lab aur dariya ravan tha
musibat ke maron ka ik karvan tha
har ik gham-zada budha bachcha javan tha
tha ik alam-e-hashr har samt goya
tha bad-hal har shakhs jo bhi jahan tha
sisakte the bachche bilakti thiin maaen
jo insan bhi pyaas se na-tavan tha
sitam aaj bhi us ka vird-e-zaban hai
yazid-e-lain jo vahan hukmaran tha
tha khemon men kohram jo jal rahe the
har ek samt jaise dhuan hi dhuan tha
hua karbala men jo qurban ‘barqi’
husain ibn-e-haidar ka vo khandan tha
Leave a Reply