tumhari farzangi se kuchh kam nahin hai divana-pan hamara
tumhen mubarak tumhari hijrat hamen mubarak vatan hamara
jo gulsitanon ki shah-rahon pe apne bistar laga na paa.e
vahi vahan ja ke kah rahe hain nahin hai koi chaman hamara
Ba-qaul-e-‘iqbal’ pahle pahle yahan laga.e the jis ne Dere
vo karvan aaj bhi basa hai kanar-e-gang-o-jaman hamara
ba.id-e-aḳhlaq-o-adamiyyat hai rahnumaon se bad-gumani
kamal-e-sada-dili to ye hai ki saath de rahzan hamara
sada-e-naqus-e-but-kada par giraft ka mashvara na diije
ibadat-o-bandagi ke maan.e nahin hai jab barhaman hamara
ye dusri baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar ki ḳhaak chhani
chane na bechega ‘josh’ ki tarah zauq-e-sher-o-suḳhan hamara
vatan ki is sar-zamin ko ai ‘shad’ kaun se dil se chhoḌ den ham
vatan ki jis sar-zamin pe guzra hai daur-e-dar-o-rasan hamara
Leave a Reply