kahin shu.ur men sadiyon ka ḳhauf zinda tha
main shaḳh-e-asr pe baiTha hua parinda tha
badan men dil tha muallaq ḳhala men nazren thiin
magar kahin kahin siine men dard zinda tha
phir ek raat mujhi par jhapaT paḌa mira zabt
jise main paal raha tha koi darinda tha
ḳhushi ne haath baḌhaya tha meri janib bhi
magar vahan jahan har shaḳhs gham-kuninda tha
nabard-e-ishq men kya kya jigar kiya ‘tauqir’
hava ka lams bhi jab intiqam-e-hinda tha
Leave a Reply