baḌe nazon se dil men jalva-e-janana aata hai
ye ghar jis ne banaya hai vo vo sahab-ḳhana aata hai
ḳhuda ke vaste munh se laga de ḳhum ke ḳhum saaqi
baḌa ghanghor badal janib-e-mai-ḳhana aata hai
nikal jaata hai munh se naam un ka baton baton men
zaban par jo na aana tha vo betabana aata hai
nikalti hai kisi par jhuum kar vo mujh pe girti hai
tumhari tegh ko kya sheva-e-mastana aata hai
bahar aḳhir hui hai ‘qadr’ ki turbat pe mela hai
yahan beḌi baḌhane ko har ik divana aata hai
Leave a Reply