hava chaman ki bhala ham ko sazgar kahan
bahar naam ko hai asal men bahar kahan
jo tum nahin the to ik lutf-e-intizar to tha
tum aa ga.e ho to ab lutf-e-intizar kahan
chaman se duur bhi dekhi hai fasl-e-gul ham ne
magar vo silsila-e-naghma-e-bahar kahan
numud-e-sub.h hui aur ujaḌ ga.i mahfil
mai-e-shabana kahan ab vo mai-gusar kahan
chaman ye shahr-e-nigaran bana to hai lekin
miri bahar ko chhoḌ aa.i hai bahar kahan
hui hain un se uchaTti si kuchh mulaqaten
magar ye kaif ba-andaza-e-ḳhumar kahan
na siina chaak hai koi na ab gareban chaak
gaya na jaane vo sarmaya-e-bahar kahan
ba-faiz-e-azmat-e-syan mili hai ye tauqir
vagarna dar-ḳhur-e-rahmat gunahgar kahan
na vo sohbat-e-mazi na us ki yaad ai ‘arsh’
jo karvan hi nahin hai to phir ghubar kahan
Leave a Reply