sun ke furqat chup hua aisa ki murda ho gaya
puchhta hai yaar ro ro kar tujhe kya ho gaya
dekh kar chashm-e-siyah-e-mah-ru vahshat hui
chandni men us hiran ka rang kaala ho gaya
kar diya abru ne do tukde ba-rang-e-zulfiqar
ek hi talvar men saari ka aadha ho gaya
kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru
munh hua mitha to kya dil apna khatta ho gaya
munh jo us yusuf ne phera ho gae be-kar sab
dida-e-yaqub chah-e-aina andha ho gaya
dil jo tadpa daagh se raushan jahan-e-dil hua
barq jab chamki andhere men ujala ho gaya
‘arsh’ us ki sard-mehri ta-dam-e-akhir rahi
dil hua thanda na saara jism thanda ho gaya
Leave a Reply