nakami-e-sad-hasrat-e-parina ke Dar jaa.en
kuchh roz to aram se apne bhi guzar jaa.en
ai dil-zadagan ab ke bhi is fasl-e-junun men
phir bahr-e-ḳhirad nok-e-sinan kitne hi sar jaa.en
ye rishta-e-jan tar-e-rag-e-jan ki manind
TuuTe jo kabhi ḳhaak men ham ḳhak-basar jaa.en
hai harf-shanasi kisi a.ine ki manind
patthar koi paḌ jaa.e to sab harf bikhar jaa.en
parvarda-e-shab ko hai kahan jur.at-e-iz.har
Darte hain ki shanon se kahin sar na utar jaa.en
is qarya-e-yaḳh-basta men ai sho.ala-sifat aa
jazbat na ajsam ki manind ThiThar jaa.en
ye ḳhirqa-e-darveshi hamen raas hai ‘javed’
dastar-o-qaba pahan len ham log to mar jaa.en
Leave a Reply