• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fitrat ulaT Ke KHwab Dikhane Diye Gae

Fitrat ulaT Ke KHwab Dikhane Diye Gae

fitrat ulaT ke ḳhvab dikhane diye ga.e

gungon ko bad-zabani ke ta.ane diye ga.e

rahat ki pairvi men takalluf ganva diya

angan men ghair log bhi aane diye ga.e

andhon ki bargah men ankhen fuzul thiin

ik sar-burida jism ko shane diye ga.e

ik ret ki jabin pe patthar ki Thokaren

be-ghar musafiron ko Thikane diye ga.e

paani ki maat tishna-labon ko na thi qubul

sad shukr mujh ko ashk bahane diye ga.e

ye asman zamin ki nalain rah gaya

badle men us ko taare ugane diye ga.e

ham tirgi ke saath numayan the bazm men

un ko to un ke ghar se bhi laane diye ga.e

ham pairahan ke taar se bandhe hue vajud

tasbih ke mizaj ko daane diye ga.e

do lashe hi to ghoḌon ke paanv ka rizq the

baaqi to saare lashe uThane diye ga.e

kitne zamane lamhon ki ghaflat se mar ga.e

saa.at ki bandagi ko zamane diye ga.e

bujhte hue charagh ki tabinda raushni

vo raushni ki jis ko churane diye ga.e

sajde miri jabin men rakkhe ga.e magar

ankhon men mujh ko jism basane diye ga.e

‘kazim’ kisi ke gham ki rifaqat ka shukriya

mujh ko bhi kuchh charagh jalane diye ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kab Aaega Wo Shahzada Tauba Hai

Mere Mazar Pe Aa Kar Diye Jalaega

Kuchh Nahin Hai to Ye Andesha Ye Dar Kaisa Hai

poet

Ta-Hadd-E-Nazar Chandni Is Tarah Khuli Hai

Kal Mujhe Dekh Ke Tha Aaina Chaunka Jaise

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet