fāsle haiñ sadiyoñ ke aur zindagī tanhā
dard-e-sar do-ālam kā ek aadmī tanhā
sho.ala-e-havādis ne hausla diyā varna
bujh ke rah ga.ī hotī sham-e-zindagī tanhā
zindagī meñ āmezish un kī rañg bhartī hai
dostī hī kaam aa.e aur na dushmanī tanhā
pūchhtā hai kab koī haal in charāġhoñ kā
raushnī dikhāte haiñ jo galī galī tanhā
thī nafas nafas ḳhushbū thā nazar nazar chehra
din guzar gayā tanhā raat kaT ga.ī tanhā
terī pārsā.ī kā rah gayā bharam vaa.iz
jurm hai magar nādāñ shaġhl-e-mai-kashī tanhā
guzre aise lamhe bhī mujh pe bārhā ‘at.har’
maiñ ne ḳhud ko paayā hai anjuman meñ bhī tanhā