nazish-e-gul hua kare koi
dil se kanTa juda kare koi
bahte hain baat baat par aansu
aisi ankhon ko kya kare koi
jab kisi baat men asar hi nahin
kya dava kya dua kare koi
kaun hai vo jo dard-mand nahin
kis ki kis ki dava kare koi
jab kaleje men tiir ho paivast
na karahe to kya kare koi
zabt ki had hai maut tak lekin
phir sitam ho to kya kare koi
kuchh nahin jis men dard-e-dil ka ilaaj
aisi duniya ka kya kare koi
aa chala lutf-e-zindagi ham ko
dard ab to siva kare koi
maut hai imtihan-e-shauq ‘jigar’
varna kyunkar vafa kare koi
Leave a Reply