lutf-e-paiman baar baar kahan
lazzat-e-soz-e-intizar kahan
kya huiin be-qarariyan dil ki
vo tamanna-e-vasl-e-yar kahan
vo taqaza-e-shauq-e-did kuja
ruuh ko ab vo iztirar kahan
josh-e-vahshat ke vo maze na rahe
vo gareban-e-tar-tar kahan
mai-kashi ki vo baat jaati rahi
ab vo mahfil vo mai-gusar kahan
maut aa jaa.e to ghanimat hai
un ke aane ka e’tibar kahan
aa ki do-char din ki zindagi hai
koi aata hai bar-bar kahan
main to lahore se chala ja.un
ja.egi fikr-e-rozgar kahan
kis ko ‘sa.ib’ faragh hasil hai
main kahan mausam-e-bahar kahan
Leave a Reply