usi ko dost rakha dusra banaya nahin
ka.i banate hain main ne ḳhuda banaya nahin
ye basti raat ka kis tarah samna karegi
yahan kisi ne bhi din men diya banaya nahin
pata karo ki ye naqqash kis qabil ka hai
parinda jab bhi banaya riha banaya nahin
ye log zulm kama kar shab aise sote hain
ḳhuda ne jaise ki roz-e-jaza banaya nahin
lahu bhi jalta hai jhaḌti hai ḳhaak bhi meri
ki sher utarta hai lekin bana-banaya nahin
vo mehrban hai magar bhulta nahin mujh ko
vo ek kaam jo us ne mira banaya nahin
udaas dekha nahin jaata koi mujh se ‘aqil’
kisi ko is liye hal-ashna banaya nahin
Leave a Reply