usi kinara-e-hairat-sara ko jaata huun
main ik savar huun koh-e-nida ko jaata huun
ramidgi ka bayaban hai aur be-ḳhor-o-ḳhvab
ghubar karta sukut o sada ko jaata huun
qarib hi kisi ḳheme se aag puchhti hai
ki is shikoh se kis qartaba ko jaata huun
hazar ki dajla-e-dushvar par qadam rakhta
shikar-gah-e-furat-o-fana ko jaata huun
kahan ga.e vo ḳhudayan-e-dirham-o-dinar
ki ik dafina-e-dasht-e-bala ko jaata huun
safarat-e-had-e-hairangi pe huun mamur
nigar-ḳhana-e-husn-o-ada ko jaata huun
vo din bhi aa.e ki inkar kar sakun ‘sarvat’
abhi to ma.abad-e-hamd-o-sana ko jaata huun
Leave a Reply