chaak siine ka ba-andaz-e-jigar ho ki na ho
aur phir lazzat-e-jan zauq-e-asar ho ki na ho
tujh se ai sham.a sar-e-sham hi ruḳhsat ho luun
shab basar ho ki na ho vaqt-e-sahar ho ki na ho
umr-e-nazzara usi jalve pe qurban kar duun
phir kabhi aur mujhe tab-e-nazar ho ki na ho
ab jahan vo hain mira hosh vahin hai ai dil
be-ḳhabar main huun unhen is ki ḳhabar ho ki na ho
apne mahshar ki sahar bhej hi de ab yarab
ya.ani tanha hai miri raat basar ho ki na ho
is qadar puchh to lo ru-e-sahar se ‘kaifi’
us pe rang-e-asar-e-dida-e-tar ho ki na ho
Leave a Reply