use bechain kar ja.unga main bhi
ḳhamoshi se guzar ja.unga main bhi
mujhe chhune ki ḳhvahish kaun karta hai
ki pal bhar men bikhar ja.unga main bhi
bahut pachhta.ega vo bichhaḌ kar
ḳhuda jaane kidhar ja.unga main bhi
zara badlunga is be-manzari ko
phir us ke baad mar ja.unga main bhi
kisi divar ka ḳhamosh saaya
pukare to Thahar ja.unga main bhi
pata us ka tumhen bhi kuchh nahin hai
yahan se be-ḳhabar ja.unga main bhi
Leave a Reply