koi zauq-e-nazar hone laga hai
bahut asan safar hone laga hai
kahan se laoge tum maan ki mamta
agar pardes ghar hone laga hai
sambhalo ab to is bimar ko tum
fasana muḳhtasar hone laga hai
mire alfaz zau dene lage hain
ghazal kahna hunar hone laga hai
vo pahle Tas-se-mas hota nahin tha
agar se ab magar hone laga hai
labon par ab hai us ke muskurahaT
duaon ka asar hone laga hai
chalo ‘jazib’ bacha kar apna daman
vo rasta rahguzar hone laga hai
Leave a Reply