• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Us Zulf Ke Saude Ka Khalal Jae To Achchha

Us Zulf Ke Saude Ka Khalal Jae To Achchha

hatim-ali-mehr

us zulf ke saude ka khalal jaae to achchha

us pech se dil apna nikal jaae to achchha

shatranj men ji un ka bahal jaae to achchha

ai ‘mehr’ ye chaal achchhi hai chal jaae to achchha

is ziist se ab maut badal jaae to achchha

bechain hai dil jaan nikal jaae to achchha

mahrum huun is daur men saaqi faqat ik main

ai kaash khum-e-bada ubal jaae to achchha

kham thonk ke karta hai ye ab beach bula ke

is tarah ke tarrar ka bal jaae to achchha

is ishq men phir jaan ke pad jaenge laale

ab bhi dil-e-betab sambhal jaae to achchha

chhu jaae jo bande ki siva jism se tere

allah kare haath vo gul jaae to achchha

kya ishq sa hai ishq mohabbat si mohabbat

badlunga main is dil ko badal jaae to achchha

mumkin hi nahin hai ki bache jaan salamat

us kuche men mushtaq-e-ajal jaae to achchha

boson men maza qand-e-mukarrar ka ho saaqi

ik daur dobara ka bhi dhal jaae to achchha

ab zauq ki manind gham-e-ishq jigar men

kanta sa khatakta hai nikal jaae to achchha

rangini-e-fikr aur meri raushni-e-tamaa

kuchh laal-o-gohar aur ugal jaae to achchha

ahbab-e-banaras ke liye ‘mehr’ ka tohfa

ek aur bhi saath us ke ghazal jaae to achchha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

insha-allah-khan-insha

Kya Bhala Shaikh-Ji The dair Mein Thode Patthar

taashshuq-lakhnavi

Su-E-dayar Khanda-Zan Wo Yar-E-Jaani Phir Gaya

Munh Apni Riwayat Se Phera Nahin Karte

Ab to Soch Liya Hai Yaro Dil Ka KHun Ho Jaane Dun

parveen-fana-syed

Har Samt Sukut Bolta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet