• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Abhi Raushan Hui Hain Mere Ghar Ki Battiyan Mujhse

Abhi Raushan Hui Hain Mere Ghar Ki Battiyan Mujhse

abhi raushan hui hain mere ghar ki battiyan mujh se

hava phir le na jaa.e chhin kar parchha.iyan mujh se

karun ankhon se nam miTTi ḳhalaon phuul raste men

taqaza kar rahi hain ḳhvahishon ki bastiyan mujh se

ye roz-o-shab ke hangame dar-o-divar ke andar

bata.un kya sulajhti hi nahin ab gutthiyan mujh se

kisi se muskura kar baat kar leta huun main jab bhi

na jaane kyon ḳhafa rahti hain teri khiḌkiyan mujh se

ye tanha.i ka mausam bhi dabe paanv guzar jaata

agar yaden kisi ki baanT letin talḳhiyan mujh se

vo barfile badan ke saath milne jab bhi aata hai

chura leta hai mere ḳhuun ki sab garmiyan mujh se

parinda ek din uḌ ja.ega TuTegi Tahni bhi

yahi kahti hain phulon ki bikharti patiyan mujh se

akela main jo ghar lauTa to phir kaise bata.unga

ḳhuda.i ka sabab puchhengi jab tanha.iyan mujh se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Fasl-E-Gul Mein Jo Koi Shakh-E-Sanobar Tode

Raat Andar Utar Ke Dekha Hai

Zikr Mera Aur Tere Lab Par Yaad Meri Aur Tere Dil Mein

meer-mehdi-majrooh

Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana

aaKHir Tumhaare Ishq Mein Barbaad Ho Sake

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet