ham musafir hain ki maqsud-e-safar jante hain
kaise banti hai koi rahguzar jante hain
be-ghari zad-e-safar ho to Thaharna kaisa
itne adab to ye ḳhak-ba-sar jante hain
rah-e-sunnat bhi yahi jada-e-hijrat bhi yahi
paanv ruk jaa.en jahan bhi use ghar jante hain
kya ḳhabar Duub ke ubhrin ki ubhar kar Duben
ziist ko ham to samundar ka safar jante hain
kitni is daur men azadi hai majburon ko
ḳhauf ki aag men jalte hue par jante hain
ḳhushk honTon pe likhi hai ye kahani kis ne
kah nahin sakte magar dida-e-tar jante hain
koi mahram hai ki mahrum hamen kya malum
un se puchho jo maqamat-e-nazar jante hain
ham ko aate nahin andaz-e-hunar-mandi-e-fan
ye alag baat ki tauqir-e-hunar jante hain
ghar se bahar jo nikalte hi nahin hain ‘at.har’
kitni asan tiri rahguzar jante hain
Leave a Reply