go is se iztirab men hai jan-e-zindagi
phir bhi ye dard-e-ishq hai shayan-e-zindagi
achchha hua ki maut ne mujh ko miTa diya
main dagh-e-nang tha sar-e-daman-e-zindagi
naghme samajh raha hai inhen na-suḳhan-shanas
majmua marsiyon ka hai divan-e-zindagi
ahu-e-tishna aur fareb-e-sarab-e-dasht
insan aur aish-e-gurezan-e-zindagi
paaya kahin na gauhar-e-maqsud ka nishan
chhani bahut hai ḳhak-e-bayaban-e-zindagi
taskin-e-dil ba-juz gham-e-ulfat kahin nahin
sabit hua ki dard hai darman-e-zindagi
‘mahrum’ kis ke nok-e-qalam ka hai shahkar
afsana-e-firaq ba-unvan-e-zindagi
Leave a Reply