ham un ke gham men taḌap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain
hamare dil men hai yaad un ki jo ham ko dil se bhula chuke hain
bala-e-mahshar bhi sahal un ko azab-e-dozaḳh bhi un ko asan
jo teri ulfat men apne dil par gham-e-juda.i uTha chuke hain
adu se ja kar karo ye baten vahin guzaro tum apni raten
tumhari baton men aa chuke ham tumhen bahut aazma chuke hain
agar na aa.en nazar na aa.en nahin hai kuchh bhi ḳhayal is ka
kahan vo ja.enge munh chhupa kar hamare dil men jab aa chuke hain
ye kya qayamat hai ya ilahi ki un ki aamad ka haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qarar hosh-o-havas pahle hi ja chuke hain
ḳhayal kuchh bhi nahin hai tujh ko but-e-parivash hamara ham to
tiri mohabbat men naqd-e-jan-o-dil-o-jigar bhi luTa chuke hain
buton ko dena na bhuul kar dil na un pe hona zara bhi maa.il
nahin hai juz ranj un se hasil tujhe ye ‘nadir’ jata chuke hain
Leave a Reply