Us Sine Ki Waqat Hi Kya Hai Jis Sine Mein Tera Nur Nahin

us siine kī vaq.at hī kyā hai jis siine meñ terā nuur nahīñ

us kāsa-e-sar kī kyā qīmat jo sang-e-junūñ se chuur nahīñ

us dil ko koī kyuuñ dil maane jo jazb-o-junūñ se ḳhālī ho

us sham.a ko ham kyuuñ sham.a kaheñ jo partav-e-shama-e-tūr nahīñ

ye kaif-o-nashāt afzā rāteñ ye aish-o-tarab kī sauġhāteñ

jis shai ke evaz meñ miltī haiñ us shai kā ziyāñ manzūr nahīñ

murda bhī nahīñ ye zinda hai mālik bhī nahīñ ye banda hai

insān nirālī ḳhilqat hai muḳhtār nahīñ majbūr nahīñ

insān kī azmat us pe fidā ik banda-e-ḳhākī vo bhī thā

jo arsh-e-ilāhī chhū aayā phir bhī vo zarā maġhrūr nahīñ

us jān-e-jahāñ kī ḳhushnūdī matlūb-e-junūñ maqsūd-e-safar

socho to ye manzil duur bhī hai socho to ye manzil duur nahīñ

ho shauq-e-safar to rāh-e-safar har samt khulī hai tere liye

dil terā talab se ḳhālī hai tū varna yahāñ ma.azūr nahīñ

ham par vo ‘urūj’-e-ḳhasta-jigar talvār uThāte haiñ lekin

us vaar se taskīñ kyā hogī jo vaar abhī bharpūr nahīñ

Leave a Comment