us ped ko chhua to samar-dar ho gaya
phir jaane kya hua vo sharar-bar ho gaya
mausam ki bhuul thi ki miri dastaras ki baat
patthar se ek phuul numudar ho gaya
bikhre hue hain dil men miri khvahishon ke rang
ab main bhi ik saja hua bazar ho gaya
ik baar main bhi khvab men baitha tha takht par
ankhen khulin to aur bhi nadar ho gaya
pahle to sar ko phod liya us ko dekh kar
phir main bhi ek rauzan-e-divar ho gaya
vaise tamam umr miri niind men kati
ghar men naqab lagi to main bedar ho gaya
yaaro ye zindagi ka makan bhi ajiib hai
taamir ho gaya kabhi mismar ho gaya
lafzon ke phuul aanch si dene lage mujhe
bebak aaj shoala-e-guftar ho gaya
dushman nazar pada to mitin ranjishen tamam
ladne ko saara shahr hi tayyar ho gaya
mujrim bari hua to kai qatl ho gae
basti ka ik gharib giraftar ho gaya
‘afzal’ kuchh is tarah ki achanak hava chali
sansen bahal rakhna bhi dushvar ho gaya
Leave a Reply