us chashm ne ki tutiyon ko nukta-dan kiya
aisi ki ik nigah ki mujhe be-zaban kiya
ghabra.un kis tarah dil-e-pur-ah se na main
us soḳhta ne ab to nihayat dhuan kiya
haal us ne puchha jab na rahi taqat-e-bayan
is puchhne ne aur mujhe be-zaban kiya
yarab tu us ke dil se sada rakhiyo gham ko duur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shadman kiya
nairang be-sabati ka hai is chaman ka rang
bulbul ne kya samajh ke yahan ashiyan kiya
mazmun-e-ḳhat usi se hai zahir ki hoga kya
qasid ki ja jo ashk ko ham ne ravan kiya
gah ishva gah karishma gahe naaz gah ada
kis kis tarah se us ne mujhe imtihan kiya
ḳhubon ko ham-nashin tu kabhi dil na dijiyo
main is muamle men bahut saziyan kiya
majnun ka ishq sach hai pa mauzunon ne ‘raza’
zarra si baat thi use ik dastan kiya
Leave a Reply