aan se zalim ka imtihan aur main
ye sitam tere asman aur main
kabhi kahta huun ab vo aate hain
kabhi kahta huun vo kahan aur main
be-qarari dila rahi hai yaad
haae vo teri shokhiyan aur main
nahin sunta koi kisi ki jahan
gham-e-hijran ki dastan aur main
akhir aa hi gai fughan lab par
zabt-e-raz-e-gham-e-nihan aur main
charkh bhula hua hai kya gardish
yaar ke ghar men mehman aur main
kuchh kahe jaao kuchh sune jaao
tum se do-char bad-guman aur main
vo gali aur rat-bhar phirna
dur-bash-e-nigah yaan aur main
fikr-e-dushvari-e-matalib men
ek bechara razdan aur main
aaine varna dekh lijiyega
har jagah aap ka bayan aur main
puchh ‘salik’ na mera ghar mujh se
rat-din hai dar-e-butan aur main
Leave a Reply