rafta rafta tarjumani dard ki
sha.iri hai qadrdani dard ki
zaḳhm-e-dil ka martaba shahon sa hai
aur dil hai rajdhani dard ki
ham se puchho tum maza taklif ka
ham ne ki hai mezbani dard ki
muskurahaT ba-sabab honThon pe hai
ḳhush-numa ruḳh hai nishani dard ki
zindagi men sab bhale ghamgin hain
hai alag sab ki kahani dard ki
ghamgusaron se kinara kar liya
dil ne aḳhir baat maani dard ki
mar ga.e hote ‘dinesh’ us ke baghair
ji rahe hain mehrbani dard ki
Leave a Reply