tabah ḳhud ko use la-zaval karte hain
hamare log junun men kamal karte hain
magar ye raaz faqat titliyan samajhti hain
chamakte rang bhi jiina muhal karte hain
kabhi kabhi to darindon pe pyaar aata hai
tamam shahr ki yuun dekh-bhal karte hain
ye kya ki dil bhi dukhane koi nahin aata
chalo purane marasim bahal karte hain
bulao ḳhvab-nagar men phir us sitare ko
vahi karo jo sabhi ḳhush-ḳhayal karte hain
kisi mazaq pe khul kar main hans nahin paata
hansi hansi men vo jiina muhal karte hain
Leave a Reply