us baat ka koi ranj nahin ham us ki tavajjoh pa na sake
afsos hamen bas itna hai ham dil ka haal chhupa na sake
vo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai
par ham kyuun apna samjhe the ye baat use samjha na sake
ham aaj se pahle zaḳhmon par hansti ankhon se rote the
is baar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake
do lafz bayan kar dete hain ik umr ka apni afsana
vo chhoḌ ke gulshan aa na saka ham chhoḌ ke sahra ja na sake
dil ik ziddi bachche ki tarah ‘shahzad’ se bigḌa baiTha hai
juz ik naraz se patthar ke koi aur use bahla na sake
Leave a Reply