urdu key sha.iri hai to hogi ye baat bhi
ilm-e-aruz bhi hai rumuz-o-nikat bhi
yuun hi guzar na jaa.e milan ki ye raat bhi
aao ki ab to kar len koi apni baat bhi
tum apni muskurahaTen khona nahin kabhi
gum-gashta ho na jaa.e miri ka.enat bhi
ham par karam hai aap key tashrif-avri
ab iltimas hai ki rahe iltifat bhi
chhoTe kisan hain ki mare ja rahen roz
halat pe apni ro rahi hai sham-lat bhi
kya mera naam kaafi nahin hai ki aap ab
mujh se ye kah rahe hain likhun apni zaat bhi
kuchh nekiyan kamane key jaldi hamen bhi hai
na-qabil-e-yaqin hai hamari hayat bhi
Leave a Reply