mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
aah vo tir-e-nim-kash jis ka na ho koi hadaf
tere muhit men kahin gauhar-e-zindagi nahin
dhund chuka main mauj mauj dekh chuka sadaf sadaf
ishq-e-butan se haath utha apni khudi men duub ja
naqsh o nigar-e-dair men khun-e-jigar na kar talaf
khol ke kya bayan karun sirr-e-maqam-e-marg o ishq
ishq hai marg-e-ba-sharaf marg hayat-e-be-sharaf
sohbat-e-pir-e-rum se mujh pe hua ye raaz faash
laakh hakim sar-ba-jeb ek kalim sar-ba-kaf
misl-e-kalim ho agar marka aazma koi
ab bhi darakht-e-tur se aati hai bang-e-la-takhaf
khira na kar saka mujhe jalva-e-danish-e-farang
surma hai meri aankh ka khak-e-madina-o-najaf
Leave a Reply