• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sham Ka Pahla Tara (2)

Sham Ka Pahla Tara (2)

zehra-nigaah

meri us shaam ke taare se mulaqat bahut gahri thi

vo mira ham-dam-e-derina tha

main bahut chhoti thi jab maan ne bataya tha mujhe

”dekho dekho vo udhar vo miri ungli ke qarib

ek taara bhi tumhen dekhta hai”

un dinon jab main havaon ki tarah udti thi

aur daali ki tarah jhuum ke lahrati thi

raat aur din ke lipatne ki ghadi aate hi

sirf us taare ki khatir main thahar jaati thi

vo mujhe dekhta tha

main bhi use dekhti thi

vo mujhe dhundhta tha

main bhi use dhundhti thi

aur us id-e-mulaqat ke baad

roz ham donon bichhad jaate the

apni manzil ki taraf vo bhi chala jaata tha

apne raston ki taraf men bhi palat aati thi

meri us shaam ke taare se mulaqat bahut gahri thi

main ne taare ki rifaqat men shagun kitne liye

aaj dekha nahin taara main ne

aaj ki shaam jo roz aata hai shayad nahin aae

rasta bhuul na jaae

aaj to jald nikal aaya hai taara mera

aaj ki raat mulaqat milegi mujh ko

an-kahe lafzon ki saughat milegi mujh ko

main ne taare ki rifaqat men shagun kitne liye

ab main tanha huun

baras biit gae hain kitne

koi taara nahin dekha main ne

duur ki chiiz zara dhundli nazar aati hai

meri khvabida samaat ko jagane ke liye

sirf avaz-e-azan aati hai

ab shagun kaahe se luun

kis ke aane ki umiden bandhun

kis ke jaane se pareshan rahun

kal magar phone ki ghanti ne mujhe

apne mahaul se bedar kiya

zindagi se mujhe do-char kiya

ek amrit bhara lahja mire kanon men ghula

”amman kal shaam dikhaya ham ne

apne bachchon ko chamakta tara”

”kaun sa taara dikhaya tum ne”

”aap ka shaam ka pahla tara”

phone jab khatm hua

vaqt dinon hi gale milte the

main ne khidki se hataya parda

asman hadd-e-nazar tak varaq-e-sada tha

na shafaq thi na ufuq par hi koi taara tha

yak-ba-yak ek kiran chehre par lahrane lagi

duur ki chiiz zara dhundli nazar aati hai

mera taara meri palkon par utar aaya tha

main ne ungli ke sahare se use thaam liya

apne anchal men use bandh liya

bhala is umr men ye saath kise milta hai

meri us shaam ke taare se mulaqat bahut gahri thi

…..mira hamdam-e-derina tha

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bas Yahi Baat Yahan Harf-E-Malamat Ki Hai

poet

Ku-Ba-Ku Ishq Mein Aawara-O-Ruswa Hun Main

poet

Jo Tujhe Aur Mujhe Ek Kar Saka Nahin

Kho Jaun Musht-E-KHak Mein Aisa Nahin Hun Main

Ab Kisi Ko Kya Bataen Kis Qadar Nadan The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet