• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Unki Raftar Se dil Ka Ajab Ahwal Hua

Unki Raftar Se dil Ka Ajab Ahwal Hua

poet

un ki raftar se dil ka ajab ahval hua

rundh gaya pis gaya mitti hua pamal hua

dasht-e-vahshat ka ilaqa mujhe imsal hua

dagh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbal hua

is bakhede se ilahi kahin chhutkara ho

ishq-e-gesu na hua jaan ka janjal hua

nazar-e-lutf na ki tu ne mire rone par

tifl-e-ashk ai mah-e-khubi na khush-iqbal hua

hain vo suufi jo kabhi nala-e-naqus suna

vajd karne lage ham dil ka ajab haal hua

pad gaya un pe mire pech men laane ka vabal

kya pareshan tire gesuon ka haal hua

daulat-e-faqr ho ai munimo aur kamli ho

fakhr kya hai jo do-shala hua rumal hua

apni qismat ka navishta jo dikhaya ham ne

hashr ke rose ghalat nama-e-aamal hua

asman ne mujhe mahrum-e-shahadat rakkha

tegh-e-qatil ke liye bakht-e-siyah-e-dhal hua

log kahne lage kundan pe chadhae miina

sabza-e-khat se vo khush-rang tira gaal hua

tegh-e-husn ai gul-e-tar ho gai khun-aluda

mujh pe ghusse men tera munh jo bahut laal hua

tair-e-dil ki liye aap ne sayyadi ki

rishta-e-dam-e-bala zulf ka har baal hua

la-makan tak kahin thahra na mira pa-e-khayal

mazra-e-sabz-e-falak biich men pamal hua

ai ‘saba’ aap riayat na karen lafzon ki

zar-e-gul paaya jo gulchin ne to kya maal hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Mere Khwabon Mein Khayalon Mein Mere Pas Raho

khwaja-meer-dard

Ishq Har-Chand Meri Jaan Sada Khata Hai

ajmal-siraj

Ghum-Phir Kar Isi Kuche Ki Taraf Aaenge

etibar-sajid

Ye Kya Haalat Bana Rakkhi Hai Ye Aasar Kaise Hain

aftab-hussain

Maqam-e-Shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet