un ki nazar ka lutf numayan nahin raha
ham par vo iltifat-e-nigaran nahin raha
dil-bastagi-o-aish ka saman nahin raha
ḳhush-bashi-e-hayat ka saman nahin raha
ye bhi nahin ki gul men latafat nahin rahi
par jannat-nigah gulistan nahin raha
har be-hunar se garm hai bazar-e-siflagi
ahl-e-hunar ke vaste maidan nahin raha
apni zaban apna tamaddun badal gaya
lutf-e-kalam ab vo suḳhan-dan nahin raha
kyuun ab tavaf-e-ku-e-malamat se hai gurez
kya vo junun-e-kucha-e-janan nahin raha
sikha hai hadsat-e-zamana se khelna
ham ko hiras-e-mauja-e-tufan nahin raha
har bait jis ke faiz se bait-ul-ghazal bane
ab vo surur-e-chashm-e-ghazalan nahin raha
divangi-e-shauq ke qurban ja.iye
ab imtiyaz-e-jeb-o-gareban nahin raha
pir-e-mughan ki bai.at-e-kamil ke faiz se
ab shaiḳh naam ka bhi musalman nahin raha
un ki nigah-e-naz ka ye iltifat hai
charagaron ka ziist par ehsan nahin raha
kya haal hai tumhara azizan-e-lucknow
tahzib-e-ahl-e-dilli ka pursan nahin raha
har shai hai is jahan men lekin ḳhuda-gavah
‘gulzar’ is dayar men insan nahin raha
Leave a Reply