un ko bulaen aur vo na aaen to kya karen
bekar jaaen apni duaen to kya karen
ik zohara-vash hai aankh ke pardon men jalvagar
nazron men asman na samaen to kya karen
maana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin vo khvab men bhi na aaen to kya karen
ham laakh qasmen khaen na milne ki sab ghalat
vo duur hi se dil ko lubhaen to kya karen
bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal
allah agar vo yaad hi aaen to kya karen
naseh hamari tauba men kuchh shak nahin magar
shana hilaen aa ke ghataen to kya karen
mai-khana duur rasta tarik ham mariz
munh pher den udhar jo havaen to kya karen
raton ke dil men yaad basaen kisi ki ham
‘akhtar’ haram men vo na bulaen to kya karen
Leave a Reply