un ankhon ka mujh se koi va.ada to nahin hai
thoḌi si mohabbat hai ziyada to nahin hai
uslub-e-nazar se mira mafhum na samjhe
vo yaar mira itna bhi saada to nahin hai
aghaz jo ki main ne na.i ek mohabbat
ye pichhli mohabbat ka i.aada to nahin hai
siine men bujha jaata hai dil mera sar-e-sham
is gham ka ilaaj atish-e-bada to nahin hai
phir se tiri ankhon men siva rang-e-mohabbat
phir tark-e-mohabbat ka irada to nahin hai
parvaz ke sab ḳhvab yahin rakkhe hain main ne
go kunj-e-qafas itna kushada to nahin hai
ḳhanon men bhaTakta nazar aaya mujhe insan
shatranj zamana ka piyada to nahin hai
jaate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur
ik aur bhi jaada pas-e-jada to nahin hai
Leave a Reply