umr guzri miri shirini-e-guftar ke saath
lab mila.e the kabhi main ne lab-e-yar ke saath
gham-e-janan ki aziyyat gham-e-duniya ka azaab
zindagi main ne guzari baḌe azar ke saath
gard men Duub gaya silsila-e-sham-o-sahar
vaqt bhi chal nahin sakta miri raftar ke saath
miri ḳhuddar tabi.at ne bachaya mujh ko
mera rishta kisi darbar na sarkar ke saath
dekhna kucha-e-janan men kahin ‘saif’ na ho
ek saaya sa nazar aata hai divar ke saath
Leave a Reply