aaj palkon ko jaate hain aansu
ulti ganga bahate hain aansu
atish-e-dil to khaak bujhti hai
aur ji ko jalate hain aansu
khun-e-dil kam hua magar jo mire
aaj tham tham ke aate hain aansu
jab talak diida girya-saman ho
dil men kya josh khate hain aansu
gokharo par tumhari angiya ke
kis ke ye lahar khate hain aansu
teri pazeb ke jo hain moti
un se ankhen ladate hain aansu
shama ki tarah ik lagan men mire
‘mushafi’ kab samate hain aansu
fikr kar un ki varna majlis men
abhi tufan laate hain aansu
Leave a Reply