• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qafas Ko Le Ke Udna Pad Raha Hai

Qafas Ko Le Ke Udna Pad Raha Hai

shabnam-shakeel

qafas ko le ke udna pad raha hai

ye sauda mujh ko mahnga pad raha hai

miri har ik masafat raegan thi

mujhe taslim karna pad raha hai

suna hai ek jaadu hai mohabbat

ye jaadu hai to ulta pad raha hai

mohabbat hai hamen ik dusre se

ye aapas men batana pad raha hai

jo rahna chahta hai la-taalluq

taalluq us se rakhna pad raha hai

samajhti thi bahut asan jin ko

unhin kamon men rakhna pad raha hai

hui jaati hai phir kyuun duur manzil

mira paanv to sidha pad raha hai

main kin logon se milna chahti thi

ye kin logon se milna pad raha hai

main ab tak mar nahin paai huun ‘shabnam’

so ab tak mujh ko jiina pad raha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Kisi Lamha-E-Rafta Ne Sataya Hai Tujhe

Nashat-E-Gham Ke Tain Ek KHat-E-Mumas Hun Aaj

qateel-shifai

Lamhon Ka Nishana Kabhi Hota Hi Nahin

Kahin Jo Azm Zara Hausla Nikal Aae

shabnam-shakeel

Manzar Se Kabhi dil Ke Wo Hatta Hi Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet