• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is but Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe

Is but Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe

is but ke har fareb pe qurban se rahe

ik umr apne miTne ke saman se rahe

us jan-navaz kuche men ham bhi rahe magar

be-dil kabhi rahe kabhi be-jan se rahe

rindan-e-mai-kada hain ki tang aa ke uTh ga.e

yaran-e-mai-kada hain ki anjan se rahe

us men chaman ka rang na is men chaman ka ruup

ham bu-e-gul se aaj pareshan se rahe

lab si liye jo ḳhanda-e-yaran ke ḳhauf se

barson hamare siine men tufan se rahe

ye jaan aisi chiiz hai kya phir bhi ham-nashin

ham un pe jaan de ke pasheman se rahe

gulshan men josh-e-gul to bagula hain dasht men

ahl-e-junun jahan bhi rahe aan se rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Sani Jab Mazaq-E-Husn Ko Apna Nazar Aaya

Mere Ratjagon Ko Zafar-Yab Kar De

qateel-shifai

Andesha

ahmad-hamesh

Abad

Yaqin Had Se baDha Tha Guman Se Pahle

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet