kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin
gulon pe aaj to avara titliyan bhi nahin
abhi ye haal hua is pe kashtiyan guzrin
vo gaanv jis pe kabhi chhain badliyan bhi nahin
hamara ghar hai ki divaron ki numaish hai
koi kivad to kya is men khidkiyan bhi nahin
garan thi shab to miri sub.h bhi hirasan hai
abhi ufuq pe vo pahle si surkhiyan bhi nahin
asir-e-jism hai jaan aur ye badan apna
kamal ka hai qafas jis men tiliyan bhi nahin
gai hai un pe bhi ab us ki barq-bar nazar
darakht jin pe hamare to ashiyan bhi nahin
suluk us ne mohabbat men vo kiya ‘bebak’
hua jo ham se adavat ke darmiyan bhi nahin
Leave a Reply