aaya hai magar ishq men dildar hamara
har tan men hua jaan har ik jism ka nyara
be-misl us ke husn ko kahte hain do-alam
dista hai har ik ḳhalq ko apne suun piyara
man-kan na ho yaar ke darsan ko na jaane
aaya nahin kui phir ke jahan biich dobara
us sham-e-daraḳhshan ko apas saath tu le ja
var nahin to qabar biich hai zulmat andhara
karne men jama zar ke ganvata hai umar kyuun
aḳhir ko nikal ja.ega sab chhoḌ zarara
farzand-o-azizan sakal ḳhvesh qabila
duniya hai daghabaz nahin koi tumhara
behad hai ‘alim’ ishq ke ta.alim ka tumar
paaya nahin kui ishq ke dariya ka kinara
Leave a Reply