abhi to karna padega safar dobara mujhe
abhi karen nahin aram ka ishara mujhe
lahu men aaega tufan-e-tund rat-ba-rat
karegi mauj-e-bala-khez para-para mujhe
bujha nahin mire andar ka aftab abhi
jala ke khaak karega yahi sharara mujhe
utaar phenkta main bhi ye tar-tar badan
asir-e-khak huun karna pada guzara mujhe
ude vo gard ki main char-su bikhar jaun
ghubar men nazar aae na koi chara mujhe
mire hudud men hai mere as-pas ki dhund
raha ye shahr to is ka nahin ijara mujhe
sahar hui to bahut der tak dikhai diya
ghurub hoti hui raat ka kinara mujhe
miri faza men hai tartib-e-kaenat kuchh aur
ajab nahin jo tira chand hai sitara mujhe
na chhu sakun jise kya us ka dekhna bhi ‘zafar’
bhala laga na kabhi duur ka nazara mujhe
Leave a Reply