• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas

Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas

umr bhar is ko rahi ik sargirani aur bas

vo to kahiye thi hamari saḳht-jani aur bas

ek musht-e-ḳhak bil-aḳhir jo ḳhakistar hui

so ma.al-e-zindagi hai ra.egani aur bas

ik dayar-e-be-aman ki kaj-ada.i dam-ba-dam

ik shab-e-hijran ki paiham nauha-ḳhvani aur bas

mah-o-anjum husn-e-parvaz-e-taḳhayyul ke liye

rahguzar ki dhuul manzil ki nishani aur bas

ashiqi ke baab men daman-darida hi rahe

ik nazar bas ik tabassum kul kahani aur bas

raqs men hain vahshaten qarya-ba-qarya ku-ba-ku

ye junun-e-ishq ki resha-davani aur bas

tha shaikast-e-shauq ka unvan ishq-e-avvalin

pesh-e-pa uftada mera ishq-e-sani aur bas

zindagi ka isti.ara hai dil-e-shorida-sar

hai ragon men ishq ki atish-fishani aur bas

dil sahifa naqsh se arasta us ke raha

dil sahife men likhi is ki kahani aur bas

dard ka darman suḳhan-ha-e-shagufta bhi nahin

be-asar hai sab tiri jadu-bayani aur bas

hai shab-e-hijran tilism-e-tirgi ‘anjum’ daraz

chashm-e-girya ki hai ḳhunaba-fishani aur bas

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shurua Ahl-E-Mohabbat Ke Imtihan Hue

Dubta Hun Jo haTata Hun Nazar Pani Se

Kuchh to Main Bhi Dara Dara Sa Tha

meer-hasan

Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain

poet

Dost Ban Kar Bhi Kahin Ghat Laga Sakti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet