• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ummid-E-Wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin

Ummid-E-Wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin

poet

ummid-e-vasl us se ḳhuda ki qasam nahin

kahte hain arz-e-bosa pe vo dam-ba-dam nahin

us ka tavaf karte hain ushshaq-e-roz-o-shab

ku-e-sanam bhi rutbe men ka.abe se kam nahin

mere saval-e-vasl ko lillah rad na kar

dekh ai sanam ye sheva-e-ahl-e-karam nahin

huron ka tujh men husn hai pariyon ki shoḳhiyan

ai but qasam ḳhuda ki kisi se tu kam nahin

yaan dard-e-dil se mujh ko nahin chain ab ghaḌi

un ko qarar shoḳhiyon se ek dam nahin

nazan hon apne baḳht-e-siyah par na kis tarah

ye tirgi men yaar ki zulfon se kam nahin

ankhen jo rone men to taḌapne men dil hai fard

vo abr se to ye kisi bijli se kam nahin

apne liye main un se rakhun ab umiid kya

sunta huun marg-e-ghair ka kuchh un ko gham nahin

tum imtihan-e-ghair kabhi karke dekh lo

rah-e-vafa men vo kabhi sabit-qadam nahin

jo kaam un ke lab se vo tere qadam se ho

Thokar bhi teri kuchh qum-e-isa se kam nahin

kis dam nahin hai yaar ki tegh-e-nigah ki yaad

kis vaqt mere qatl ka saman baham nahin

ham bevafa.iyan na karenge adu ki tarah

tum ko vahi ḳhayal abas hai vo ham nahin

apni vafa ka zikr hasinon men rah gaya

duniya men naam aaj hamara hai ham nahin

ankhen jo roiin hijr men ik hashr ho bapa

ye do habab nuuh ke tufan se kam nahin

mamnun huun ḳhuda ki inayat ka ai ‘fahim’

rahat ka mere kaun sa saman baham nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ishq Tak Apni Dastaras Bhi Nahin

Subh Tak Main Sochta Hun Sham Se

Main Jab Wajud Se Hote Hue Guzarta Hun

mirza-ghalib

Afsos Ki dandan Ka Kiya Rizq Falak Ne

tanveer-anjum

Sunao Mujhe Bhi Ek Latifa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet