muddai khush main huun nalan ya-nasib
mujh ko dard auron ko darman ya-nasib
baithe par be-jagah manea jo huun
dar javab us ke ho haan haan ya-nasib
mal-o-jan jin ke liye karta huun sarf
us pe huun bezar khuban ya-nasib
jhuut jitna tum kaho so ho vo sach
rasti ko kahiye bohtan ya-nasib
is chaman ki sair men ai gul-ezar
‘ishq’ ki ankhon men tufan ya-nasib
Leave a Reply