ulfat ne tiri ham ko to rakkha na kahin ka
dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka
iqlim-e-maani men amal ho gaya mera
duniya men bharosa tha kise taj-o-nagin ka
taqdir ne kya qutub-e-falak mujh ko banaya
mohtaj mira paanv raha khana-e-zin ka
ik boriye ke takht pe auqat basar ki
zahid bhi muqallid raha sajjada-nashin ka
‘akhtar’ qalam-e-fikr ke bhi ashk hain jaari
kya haal likhun apne dil-e-zar-o-hazin ka
Leave a Reply