baḌh gaya dard davaon ka asar hone tak
chhoḌ kar chal diya bimar ḳhabar hone tak
jab se bimar ki ruḳhsat ka yaqin aane laga
aankh lagti hi nahin ab to sahar hone tak
aable phuuT ke rote rahe raftar ke saath
phuul khulte rahe anjam-e-safar hone tak
ik riyazat hai ibadat hai ye taḳhliq ka fan
vaqt darkar hai paude ko shajar hone tak
chiḳh kar ro diya badal ki havaon ka ghurur
kis tarah TuuT gaya ma.arka sar hone tak
ye dua hai ki har angan ka shajar phule phale
phuul khulte rahen shaḳhon pe samar hone tak
un ko malum jo hota to karam kar dete
ham yahan miT bhi ga.e un ko ḳhabar hone tak
chaḌhte suraj ki parastar bani thi duniya
ham bhi dekha kiye aibon ko hunar hone tak
sher-goi koi asan nahin hai ‘nik.hat’
baal pak jaate hain lafzon men asar hone tak
Leave a Reply