husn-e-yusuf kise kahte hain zulekha kya hai
ishq ik ramz hai nadan abhi samjha kya hai
falsafe ishq ke ab kaun kise samjhae
har taraf us ki tajalli hai to parda kya hai
tu ne dekhe to bahut honge umadte sagar
meri ankhon se kabhi puchh ki dariya kya hai
yaar ke jalvon men iman mukammal kar luun
meri jannat hai yahin arsh pe rakkha kya hai
‘shama’ itna to kabhi us ki samajh men aae
dubti kashti ka sahil se taqaza kya hai
Leave a Reply