sameT kar tire jalvon ki raushni main ne
dil-o-nigah ki duniya sanvar li main ne
mizaj-e-husn kisi taur se badal na saka
gavara samjha gham-e-na-gavar bhi main ne
tamam saḳhtiyan rah-e-talab ki sahl huiin
tumhare naam ki tasbih jab paḌhi main ne
tumhara ishq hua hai ka.i ghamon ka sabab
ki ik jahan ki ḳharidi hai dushmani main ne
nuqush-e-pa pe jabin ain be-ḳhudi men rahi
bhula.e kab bhala adab-e-ashiqi main ne
ye kaun de gaya mujh ko sukun-e-qalb-o-nazar
ye kis ka naam liya tha abhi abhi main ne
miri hayat-e-do-roza ka kya buri ki bhali
guzarni paḌi ‘jauhar’ guzar di main ne
Leave a Reply